Friday, 7 April 2017

Sambhale huye khat jalaye ja sakte hain,
Likhe huye lafz mitaye ja sakte hain.

Behte ashq chhupaye ja sakte hain.
Kareeban sabhi dard dafnaye ja sakte hain. 


Beete lamhe bhulaye ja sakte hain.
Toote huye dil behlaye ja sakte hain.

Rishte naye banaye ja sakte hain.
Ummeedon ke par lagaye ja sakte hain.

Muskan ke tohfe laye ja sakte hain.
Wajahon ke sawal dabaye ja sakte hain.

Jismani hoti toh dawa ho jati,
rooh ki choton ke nishaan bhi kabhi mitaye ja sakte hain?

Aakhiri saans tak chalta hai lekha jokha apna,
Zinda rehte bhi kya zindagi ke hisaab chukaye ja sakte hain?

No comments:

Post a Comment